Waqt be waqt tera milna, kyn acha lgta h?
Ankhe band karu to tera chehra hi kyn acha lgta h?
Aaj ho na ho tu paas mere
Fir tere saath hone ka ehsaas hi kyn acha lgta h?
Suna tha pyar me badi bekarariyan hoti h
Neend nai aata aur chaino karar bhi khota h
Agar pyar me itti takleef hoti h
Fir ye bekarariyon ka sukun hi kyn acha lgta h?
Barso beet gaye is ehsaas ko paane me
Kabhi hum to kabhi waqt nazre churata raha
Tera aana ek ehsaan tha mujhpr
Fir is ehsaan k tale dab jaana hi kyn acha lgta h?
Ghadi ki suiyo k sath teri baaton ka intezar
Phone ki ghanti na bajne par wo hona bekaraar
Pata h mujhe ab wo batein wapas nai aayengi
Fir aaj bhi wo tere intezar me jaagna hi kyn acha lgta h?
Baat baat pe yuhi muskura diya krte the tum
Meri har baat inme chupa liya krte the tum
Ab tere baad wo muskurahate bhi fiki pad gayi
Fir in muskurahato ka fika pad jaana hi kyn acha lgta h?
Hath khichkr mera apni baaho me le lete the tum
Meri palke jo sharmati to unhe bhi chuma krte the tum
Aaj bhi tere haatho ki wo garmahat chahti hu mai
Fir wo tera haath khichkar chale jaana hi kyn acha lgta h?
Baat baat pe mujhe ched, halka halka muskurana tera
Ruthe hue palo me fir se manana tera
Gusse me chupe mere pyar ko bhi jaan lete the tum
Fir wo gusse me pyar chupana hi kyn acha lgta h?
Ek tak dekhne ki wo aadat tumhari
Beech me wo palke jhapkane ki kami tumhari
Sharmakar takiye me chup jaati thi mai
Fir teri ankhon ka wo niharana aur katra k mera chup jaana hi kyn acha lagta h?
Kehte the kabhi chodkar nia jaoge mujhe
Waqt be waqt saath nibhaoge tum
Waqt k saath tum bhi chod gaye mujhe
Fir tera chale jaana bhi kyn acha lgta h?
Yaadein teri pal-do-pal aati jaati rehti h
Yaadon k saath tera aana jaana bhi chalta h
Badi takleef hoti h un beete hue palo ko yaad krke
Fir wo tujhe yaad kiye jaana hi kyn acha lgta h?
Aaj yaadein h teri, kal tu bhi to tha
Aaj tu chala gaya to kal yaadein bhi kho jayegi
Is tarah khud ko khone ki chah na thi kbhi
Fir un yaadon k saath mera bhi kahi kho jaana hi kyn acha lgta h?